Kal hamesha ki tarha us ne kaha yeh fone par
Main bahot masroof hon mujh ko bahot se kaam hein
Is liye tum aao milny main to aa sakti nahin
Har riwayat tor kar is baar main ne keh dia
Tum jo ho masroof to main bhi bahot masroof hon
Tum jo ho mashhoor to main bhi bahot maaroof hon
Tum agar ghamgeen ho to main bhi bahot ranjoor hon
Tum thakan se choor to main bhi thakan se choor hon
Jan-e-man hai waqt mera bhi bahot hi qeemti
Kuch porany doston ne milny ana hai abhi
Main bhi ab farigh nahin mujh ko bhi lakhon kaam hein
Warna kehny ko to sab lamhy tumhary naam hein
Meri ankhen bhi bahot bojhal hein sona hai mujhy
Ratjagon ke baad ab neendon mein Khona hai mujhy
Mein lahoo apni anaon ka bhaha sakta nahin
Tum nahin aati to milny main bhi aa sakta nahin
Us ko ye keh kar Wasi main ne reciever rakh diya
Aor phir apni aana ke paon pey sar rakh diya
Love Urdu Poetry On Anaa