Boly to lafz bais-e-ilzam ho gaye
Hum chup rahy to aor bhi badnam ho gaye
Hai tund-o-taiz kis qadr apni yeh zindgi
Kitny hi hadsat sar-e-shaam ho gaye
Chahat ke char harf muhabbat mein gum ho gay
Hum dil ko pas rakhny mein nakam ho gay
Baithy jo aa ke hum to woh uth kar hi chal dia
Aisy hi waqiaat mein hm aam ho gay
Love Poetry On Sar-e-shaam
Hm par kisi bhi bat ka hta nah tha asar
Lekin zara si bat pe kiyon raam ho gaey
Kuch is trh khyal ke manzr mein hm rahy
Ishq aashna sabhi ke dar-o-baam ho gaey
Nikla woh dhondny ko jo apni ana ka rizq
Ay saad us ke nam hi sab kaam ho gay