Ajab sanjog hai janan
Ye kesa rog hai janan
Baray bohray btaty thy
Kai qissy sunaty thy
Magr hum manty kab thay
Yeh sab kuch janty kab thay
keh!
Bohat pukhta irady kis tarah sy toot jaty hain
Humen idraak hi kab tha
Humen kaamil bharosa tha
Humary sath kisi soorat bhi
Aisa ho nahin sakta
Ye Dil qabu se be-qabu
Kabhi bhi ho nahin sakta
Magar phir yon hua jaana
Na jaany kiyon hua jaana
Jigar ka khoon hua aisa
Tere abro ki jumbash per
Tere qadmon ki aahat per
Gulabi muskurahat par
Tery sar ke isharay par
Sada-e-dilrubana par
Romantic Poetry On Aday-e-dilrubana
Chehra-e-maasoomana pr
Nigah-e-qatilana pr
Jafa-e-mehrmana pr
Ada-e-kafirana per
Ghail ho gaye hum bhi
Baray be-baak phirty thay
Maail ho gaye hm bhi
Sakhawat karny aaye thy
Aur saail ho gaye hum bhi
Barray bohron ki in baaton k
Qaail ho gaye hm bhi
Keh!
Mohabat rog hai jana
Ajab sanjog hay jana