Kamal-e-zabt ko khud bhi to aazmaon gi
Main apny hath sy us ki dulhan sajaon gi
Supurd kar ky usy chandni k hathon
Main apny ghar ky andheron ko lot aon gi
Badan ky karb ko wo bhi samajh na paey ga
Main dil main roun gi ankhon mein muskuraon gi
Wo kya gaya rafaqat key sary lutf gay
Main kis ki nazam akely hi gungnaon gi
Wo aik rishta bey naam bhi nahin lekin
Main ab bhi us k isharon pey sar jhukaon gi
Bicha diya tha gulabon k sath apna wajod
Wo so key uthy to khwabon ki rakh uthaon gi
Samaton mein ghany jangalon ki sansen hain
Main ab kabhi tiri aawaz sun na paon gi
Jawaz dhondh raha tha nai mohabbat ka
Wo keh raha tha k main us ko bhol jaon gi
Beautiful Ghazal By Parveen Shakir
zabar dastttttttt
i really like it….
God bless parveen’s soul.
the ever green ,superb and mind blowing ghazal by Parveen shaki missing her..