Main rang mein dekhti thi khushbu mein sochti thi
Mujhy guman tha
Keh zindagi ujli khwahishon ke charagh le kar
Miry darichon mein roshni ki navid ban kar utar rahi hai
Main Kuhar mein chandni pehn kar
Benafshi badal ka hath thamy
Fiza mein parwaz kar rahi thi
Samaaton mein sohab lehjon ki barishen then
Basarton mein gulab chehron ki roshni thi
Hawa ki resham rafaqten then
Saba ki shabnam anaeten then
Hayat khwabon ka silsala thi
Khulen jo aankhen to sary manzar dhanak ke us paar reh gay thy
Nah rang mery nah khwab mery
Hoey to bas kuch azab mery
Nah chand raten nah phool baten
Nah neel subhen nah jheel shamen
Nah koi ahat nah koi dastak
Haroof mafhoom kho chukay thay
Allamaten banjh ho gai then
Gulabi khwabon ke pairhan rakh ho chuky thay
Haqiqaton ke barhangi
Apni sari safakiyon ke humrah
Jism-o-jaaN mein utar rahi thi
Woh mehrban saya daar badal
Azaab ki rut mein chor ker mujh ko ja chukka tha
ZamiN ki taiz dhoop aankhon mein chubh rahi thi