Hawas ki bunyad par nah teher kisi bhi umeed ka gharonda
Chali zara si hawa mukhalif ghubarban kar bikhar gya
Bas aik manzal hai boalhawas ki hazar rasty hein ehle dil ky
yehi to hai farq muj mein us mein guzr gya main thher gya wo
Woh mekady ko jgany wala woh rat ki nind urany wala
Yeh aaj kya us k ji mein aai ky sham hoty hi ghar gya wo
Woh jis ky shany py hath rakh kr safr kia tu ny manzalon ka
Tiri gali sy najany keon aaj sar jhukaay guzr gya woh
Woh hijr ki rat ka sitara woh hum nafs woh hum sukhan humara
Sada rahy uska naam piyara suna hai kal rat mar gya woh
Woh rat ka benawa musafir woh tera shair woh tera Nasir
Tiri gali tak to hum ny dekha tha phir na jany kidhar gya woh
Sad Poetry About Love And Life