Subh safr ki rat thi tary the aor hawa
Saya sa aik dair tak baam par raha
Meri sada hawa mein bahot door tak gai
Par main bula raha tha jisy bekhabar raha
Guzri hai kya mazy se khayaloN mein zindgi
Doori ka ye talism bara kargar raha
Urdu Sad Poetry On Dard
Khof aasman ke sath tha sar par jhuka hoa
Koi hai bhi ya nahin hai yehi dil mein dar raha
Is akhri nazr mein ajab dard tha Munir
Jany ka is ke ranj mujhy omar bhar raha