Ab ke us ki uddas ankhon mien
Besabab uddasi thi
Ab ke us ke chehry pe
Dukh tha behawasi thi
Ab ke yon mila mujh se
Yon ghazal suni jaisy
Main nashanasa hon
Woh bhi ajnabi jaisy
Zard khaal-o-khad us ke
Sogwaar daman tha
Ab ke us ke lehjy mein
Kitna khurdara pan tha
Woh ke omar bhar jis ne
Shehr bhar ke logon se
Mujh ko hum sukhan jana
Azal se aashna likha
Khud se mehrban samjha
Mujh ko “Dilruba” likha
Ab ke sada kaghaz par
Surkh roshnai se
Us ne talkh lehjy mein
Mery naam se pehly
Sirf “Bewafa” likha