Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujary Dayaar Mein

Lagtaa nahiin hai jii meraa uja.De dayaar mein
Kis ki bani hai aalam-e-na_paayedaar mein
Bulbul ko pasban se nah siyad se gila
Qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahar mein
Keh do in hasaraton se kahiin aur jaa basein
Itani jagah kahaan hai dil-e-dagh_daar mein
Ik shakh-e-gul pe beith ke bulbul hai shadman
Kanty bicha diy hein dil-e-lala zaar mein
Omr-e-daraaz maang kar laaye the chaar din
Do arazu mein kat gaye do intazaar mein
Din zindgi ke khatm hoye shaam ho gai
Phelaa ke paon soen gy ganj mazaar mein
Kitanaa hai bad_nasiib “Zafar” dafn ke liye
Do gaz zamin bhi nah mili ku-e-yaar mein

Sad Poetry By Bahadur Shah Zafar

3 Comments

  1. Praveen Dixit September 20, 2011
  2. tayyab bhatti June 19, 2012
  3. Mian sb December 12, 2012

Leave a Reply