Is tarah hai keh har ik pair koi mandar hai
Koi ujrha hoa be noor purana mandar
Dhondata hai jo kharabi ke bahany kab se
Chaak har baam har ik dar ka dam-e-akhir hai
Aasman koi parohat hai jo har baam tale
Jism par rakh maly mathy pe sandor male
Sar nigon baitha hai chup chap nah jany kab se
Is tarah hai keh pas-e-parda koi sahir hai
Jis ne aafaq pe phailaya hai yon sahar ka daam
Daman-e-waqt se pewast hai yon daman-e-shaam
Ab kabhi shaam Bujhy gi na andhera ho ga
Ab kabhi raat dhalay gi nah sawera ho ga
Asman aas liy hai keh yeh jadu tooty
Chup ki zanjir katy waqat ka daaman chooty
Day koi sankh dohai koi payel boly
Koi but jagy koi sanwali ghongat kholy