Apna shuaar poocho to mehrban wafa hai
Par is ke ji mein hum se kya janye keh kya hai
Balen pe meri aa kar tak dekh shoq-e-deedar
Sary badan ka ji ab aankhon mein aa raha hai
Mat kar zameen-e-dil mein tukham ummeed zaia
Lota jo yaan ugaye so ugty hi jala hai
Jitny hi ji talak hein sary ilaaqy so tum
Aashiq tera mojarad farigh hi ho chuka hai
Sad sahar-o-yak raqeema khat meer ji ka dekha
Qasid nahin chala hai jadoo magar chala hai

Comments