Shor hai ho gaye dunya se musalman nabood
Hum ye kehty hein keh the bhi kahen muslim maujood
Waza mein tum ho nisara to tamadan mein hanood
Yeh musalman hein jinhan dekh ke sharmaen yahood
Yon to sayed bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho
Tum sabhi kuch ho batao to musalman bhi ho
Har musalman rag-e-batil ke liye nashtar tha
Us ke aeena-e-hasti mein amal jouhar tha
Jo bharosa tha usy quwwat-e-bazoo par tha
Hai tumhen mot ka dar us ko khuda ka dar Tha
Baap ka ilam nah bety ko agar azbar ho
Phir pisar qabil-e-miraas-e-Pidar keyun kar ho
Har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan asani hai
Tum musalman ho yeh andaaz-e-musalmani hai
Haidari faqar hai ne doulat-e-Usmani hai
Tum ko aslaaf se kya nisbat-e-rohani hai
Woh zamany mein moazziz thy musalman ho kar
Aur tum khawar hoye taarik-e-Quran ho kar
Khudkushi shewa tumhara woh ghayoor-o-Khuddar
Tum akhuwat se gurezan woh akhuwat pe nisar
Tum ho guftar sarapa woh sarapa-e-kirdar
Tum tarasty ho kali ko Woh gulistan-e-yakbar
Ab talak yaad hai qoumon ko hikayat un ki
Naqsh hai safah-e-hasti pe sadaqat un ki
Misl-e-anjum ufaq-e-qoum pe roshan bhi hoye
But-e-hindi ki mohabbat mein barhman bhi hoye
Shauq-e-parwaz mein mehjoor-e-nasheman bhi hoye
Be-amal the hi jawan deen-e-se badzan bhi hoye
In ko tehzeeb ne har band se azad kia
La ke kaaby se sanam khany mein abaad Kia
Qais zehmat kash-e-tanhai-e-sehra nah rahy
Shehar ki khaye hoye baad yeh pema nah rahy
Woh to diwana hai basti mein rahy ya nah rahy
Ye zaruri hai hijab-e-rukh-e-laila nah rahy
Gila-e-jor nah ho shikwa-e-baidar nah ho
Ishq azad hai keyon hussn bhi azad nah ho
Ehd-e-no barq hai aatish zan-e-har khirman hai
Ayman is se koi sehra nah koi gulshan hai
Is nai aag ka aqwaam kohun endhan hai
Millat-e-khatam-e-rusal (S.A.W.) shaola ba perhun hai
Aaj bhi jo baraheem (A.S.) ka imaan peda
Aag kar sakti hai andaz-e-gulistan peda
Dekh kar rang-e-chaman ho nah pareshan mali
Kokab-e-ghuncha se shakhain hein chamakny wali
Khas-o-khashaak se hota hai gulistan khali
Gul bar andaaz hai khoon-e-shuhada ki lali
Rang gardon ka zara dekh to unnabi hai
Yeh nikalty hoye sooraj ki ufaq taabi hai
Famous Urdu Poetry On Muslims

Comments