Aadhi raat ko ye duniya wale jab khaaboon mein kho jaate hain
aise mein muhabat key rogi yadoon ke charagh jalate hain
kartey hain muhabat sab hi magar har dil ko sila kab milata hai
aati hai bahaarein gulashan mein har phool magar kab khilata hai
Tu raanjhaa na tha main heer na thi ham apanaa pyar nibha na sake
yun pyar ke khwaab bahut dekhe taabir magar ham paa na sake
maine to bahut chahaa lekin tu rakh naa saka waadon kaa bharam
ab reh reh kar yaad aata hain jo tune kiya is dil pe sitam
pardaa jo hataa dun chehare se tujhe log kahen ge harjai
majabur hun main dil ke haatho manzur nahi teri ruswai
socha hai ke apane hothon par main chup ki mohar lagaa lun gi
main teri sulagati yaadon se ab is dil ko behlaa lun gi
Urdu Image Poetry On Night